ahmad faraz ghazals
Bujha hai dil to Gham e yaar ab kahan tu bhi
Besaan e naqsh ba deewar ab kahan tu bhi
Baja K chashm e talab bhi hui tahee-keesa
Magar hai rounaq e bazaar ab kahan tu bhi
Hamen bhi kar e jahaN le gaya hai dur bahut
Raha hai dar-pa-e-aazaar ab kahan tu bhi
Hazar suratein ankhoN mein phirti rahti hain
Meri nigaah mein har baar ab kahan tu bhi
Usi ko waada faramosh kyun kahein ae dil
Raha hai saahab e kirdaar ab kahan tu bhi
Meri ghazal mein koi aur kaise dar aayye
Sitam to yeh hai K ae yaar ab kahan tu bhi
tagged ahmad faraz ghazal, ghazal by ahmad faraz, urdu ghazals, urdu poetry
Wafa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liya
Wafaa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liyaa
Ke Teri Baat Ki Aur Teraa Naam Bhi Na Liyaa
Khushaa Wo Log K Mehroom E Iltefaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz E Saadgi Na Liyaa
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar GirebaaN Ko Ham Ne Si Na Liyaa
Tamaam Masti O Tishnaa-Labii Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meenaa Liyaa
‘Faraz’ Zulm Hai Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liyaa
(Ahmad Faraz)
tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy
Dil Girafta Hi Sahi Bazm Sajaali Jaye
دل گرفتہ ہی سہی بزم سجالی جائے
یادِ جاناں سے کوہئ شام نہ خالی جائے
رفتہ رفتہ یہی زنداں میں بدل جاتے ہیں
اب کسی شہر کی بنیاد نہ ڈالی جائے
مصحفِ رُخ ہے کسی کا کہ بیاضِ حافظ
ایسے چہرے سے کبھی فال نکالی جائے
وہ مروّت سے ملاِ ہے تو جھکا دوں گردن
میرےدشمن کا کوئی وار نہ خالی جائے
بے نوا شہر کا سایہ ہےمرے دل پہ فراز
کس طرح سے مری آشفتہ خیالی جا ئے
احمد فراز
Dil giraftaa hi sahii bazm sajaali jaye
Yaad E janaN se koi shaam na khaali jaye
Rafta-rafta yahi zandaaN mein badal jate hain
Ab kisi shahr ki buniyaad na daali jaye
Mushaf E rukh hai kisi ka K beyaaz E Hafiz
Aise chehre se kabhi faal nikaali jaye
Wo murawwat se mila hai to jhukadun gardan
Mere dushman ka koi waar na khaali jaaye
Be-nawaa shahr ka saaya hai mere dil pe ‘Faraz’
Kis tarah se meri aashufta khyaali jaye
(Ahmad Faraz)
tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy
Woh Dushman E Jaan, Jaan Se Pyaara Bhi Kabhi Tha
Wo dushman-E-jaN, jaan se pyaara bhi kabhi tha
Ab kis se kahaiN, koii humaara bhi kabhi tha
Utra hai rag-O-pai mein to dil kaT sa gaya hai
Yeh zehr-E-judaai K gawaara bhi kabhi tha
Har dost jahaN abr-E-gurezaaN ki tarah hai
Ye shehar kabhi shehr humaara bhi kabhi tha
Titli ke ta’aaqub mein koi phool sa bachcha
Aisaa hi koi khaab humaara bhi kabhi tha
Ab agle zamaane ke milen log toh puchheiN
Jo haal humara hai tumhaara bhi kabhi tha?
Har bazm mein hum ne usay afsurda hi dekha
kahte hain ‘Faraz’ anjuman-aara bhi kabhi tha
(Ahmad Faraz)
tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy
Qurb E Jaanan Ka Na Maikhaane Ka Mausam Aaya
Qurb-e-jaanaN ka na maikhaane ka mausam aaya
Phir se be-sarfaa ujaR jaane ka mausam aaya
Kunj-e-Ghurbat meN kabhi gosha-e-zandan meN the hum
Jaan-e-jaaN jab bhi tere aane ka mausam aaya
Ab lahu rone ki khaahish, na lahu hone ki
Dil-e-zinda tere marjaane ka mausam aaya
Koocha-e-yaar se har fasl mein guzre hain magar
Shaayad ab jaaN se guzar jaane ka mausam aaya
Koi zanjeer koi harf-e-khirad le aaya
Fasl-e-gul aayi K diivaane ka mausam aaya
Sail-e-khuN shahr ki galiyoN meN dar aya hai Faraz
Aur too khush hai K ghar jaane ka mausam aaya
(Ahmed Faraz – Pas Andaz Mausam)
tagged ahmad faraz ghazal, ghazal by ahmad faraz
Shahr E Kitaab Ujar Gaya, Harf Barahna Sar Hue
Shahr-e-kitaab ujaR gaya, harf barahnaa sar hue
Naghma hai surma dar -gulu, she’r watan badar hue
Mausam-e-dard ke safiir jo bhi nadeem the so the
Ab to sabhi farefta, daanaa-o-daam par hue
Jam-o-suboo ki aabroo, ahl-e-hawas ke haath hai
Jab se faqiih-o-muhtasib, shahr mein mo’tebar hue
Sarv_jawaaN ki maut par royeingi QumriyaaN bahut
YuN to ba-faiz-e-baghbaaN, Qatl kayi shajar hue
Dar khor-e-harf-e-yaar the jin ke liye hamiN ‘Faraz’
Aaj wohi sitam zareef, ghair ke naama-bar hue
(Ahmed Faraz)
tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy4 comments
Har Aashna Mein KahaN Khooy-E-Mahramaana Woh
Har aashna mein kahaN khooy-e-mahramaana woh
K be-wafaa tha magar dost tha puraanaa woh
KahaN se layein ab aaNkhein use K rakhta tha
AdaawatoN mein bhi andaaz mukhlisaana woh
Jo abr tha to use tooT kar barasnaa tha
Yeh kya K aag laga kar hua rawaanaa woh
Pukaarte hain mah-o-saal manziloN ki tarah
Laga hai tosan-e-hasti ko taziyaanaa woh
Hamein bhi Gham-talabi ka nahi raha yaaraa
Tere bhi rang nahi gardish-e-zamaana woh
Ab apni khaahishein kya kya use rulaati haiN
Yeh baat hum ne kahi thi magar na maana woh
Yehi kaheiNge K bus soorat-aashnaayi thi
Jo ahd tooT gaya! yaad kya dilaana woh
Us ek shakl mein kya kya na sooratein dekhiN
Nigaar tha nazar aayaa nigaar khaana woh
‘Faraz’ khaab si ghaflat dikhaayi deti hai
Jo log jaan-e-jahaaN the hue fasaana woh
(Ahmad Faraz – From CHAND AUR MAIN)
tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, best ghazals, best shairy, famous ghazal, fine ghazal, ghazal by ahmad faraz, modern shairi, shairy in urdu, top ghazals, udas shairy, urdu ghazals, urdu poetry, urdu shairy
Kahaniyan Na Suno Aas Paas Logon Ki …
Kahaniyan na suno aas paas logoN Ki
Ke mera shaher hai basti udaas logoN Ki
Na koi samt na manzil so Qaafila kaisa
RawaaN hai bheeR faqat be-Qayas logoN Ki
Kisi se pooch hi lete wafa ke baab meN hum
Kami nahiN thi zamaanaa-shanaas logoN Ki
MuhabbatoN ka safar khatm to nahiN hota
Baja K dosti aayi na raas logoN Ki
HamaiN bhi apne Kayi dost yaad aate haiN
Kabhi jo baat chale na-sipaas logoN Ki
Karo na apni bala-noshion Ke yuun charchay
K is se aur bhi barhti hai pyaas logoN Ki
MaiN aany wale ZamaanoN se dar raha huN ‘Faraz’
K maiN ne dekhi haiN aaNkheN udaas logoN Ki
tagged ahmad faraz ghazal, best shairy, urdu ghazals
Yeh To Uska Hi Karishma Hai FusuN Hai, YuuN Hai …
Yeh to uska hi karishma hai fusuN hai, yuuN hai
YuN to kahne ko sabhi kahte haiN yuN hai yuuN hai
Tum muhabbat meN kahaN sood O zyaaN le aaye
Ishq ka naam khirad hai na junuN hai, yuuN hai
Jaise koi ho dar E dil pe sitaadaa kab se
Aik saayaa na daruN hai na baruN hai, yuuN hai
Ab tum aaye ho meri jaan!! tamaashaa karne
Ab to darya meN talatum na sukuN hai, yuuN hai
Tu ne dekhi hi nahiN dasht E wafaa ki tasveer
Nok E har khaar pe ek qatra E khuN hai, yuuN hai
Naaseha! tujh ko khabar kya ke muhabbat kya hai
Roz aa jaata hai samjhaataa hai, yuN hai, yuuN hai
Shaairi taza zamaanoN ki hai me’maar “Faraz”
Yeh bhi ik silisila E “Kun Fa YakuN” hai, yuuN hai
tagged ahmad faraz ghazal, best ghazal, modern shairi, urdu poetry
Abr O BaraaN Hi Na Thay Bahr Ki Yorish MaiN Shareek …
Abr O baraaN hi na thay bahr ki yorish maiN shareek
Dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish maiN shareek
Ta hamain tark E ta’alluq ka bahut ranj na ho
Aao tum ko bhi karaiN ham isi koshish maiN shareek
Ik to wo jism tilismaat ka ghar lagtaa hai
Us pe hai niyyat E khaiyaat bhi poshish maiN shareek
Saari khalqat chali aati hai ussay daikhne ko
Kya karay dil bhi k duniya hai sifarish maiN shareek
Itna sharmindah na kar apnay gunahgaroN ko
Ae khuda tu bhi raha hai meri khaahish maiN shareek
Lafz ko phool banana to karishma hai Faraz!
Ho na ho koi to hai teri nigaarish maiN shareek
Ye Tabi’at Hai To Khud Aazaar Ban JaayeNge Ham
Ye tabi’at hai to Khud aazaar ban jaayeNge ham
Charaagar royeNge aur Gam_Khvar ban jaayeNge ham
Ham sar-E-chaak-E-vafa haiN aur tera dast-E-hunar
Jo bana degaa hameN ai yaar ban jaayeNge ham
Kya Khabar thi ai nigaar-E-she’r tere ishq meN
Dil_baraan-E-shahr ke dil_daar ban jaayeNge ham
SaKht jaaN haiN par hamaari ustavaari par na ja
Aise TuuteNge teraa iqaraar ban jaayeNge ham
Aur kuch din baiTne do ku-E-janaaN meN hamen
Rafta rafta saayaa-E-divaar ban jaayeNge ham
Is qadar aasaaN na hogi har kisii se dosti
Ashnayi meN tera me’yaar ban jaayeNge ham
Mir-O-Galib kya K ban paaye nahin Faiz-O-Firaq
Zo’m ye thaa Ruumi-O-‘Ataar ban jaayeNge ham
Dekhne meN shaKh-E-gul lagte haiN lekin dekhna
Dast-E-gulchiN ke liye talvaar ban jaayeNge ham
Ham chiraGhoN ko to tariki se laRana hai ‘Faraz’
Gul hue par subh ke aasaar ban jaayeNge ham
Na Tera Qurb Na Baadaa Hai Kya Kiya Jaaye …
Na tera qurb na baadaa hai kya kiya jaaye
phr aaj dukh bhi zyaadaa hai kya kiya jaaye
HamaiN bhi arz-E-tamanna ka Dhub nahi aataa
Mizaaj-E-yaar bhi saadaa hai kya kiya jaaye
Kuch apnay dost bhi tarkash badosh phirtay haiN
Kuch apna dil bhi kushaadaa hai kya kiya jaaye
Voh mehrbaaN hai magar dil ki hirs bhi kum ho
Talb, karam se zyaadaa hai kya kiya jaaye
Na us se trk-E-ta’alluQ ki baat kar paayeN
Na hamdami ka eraadaa hai kya kiya jaaye
Saluk-E-yaar se dil doobney laga hai Faraz
Magar ye mehfi-E-a’adaa hai kya kiya jaaye
Tujhse BichhaR Ke Ham Bhii Muqaddar Ke Ho Gaye …
Tujhse bichhaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye
Phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye
Phir yuN huaa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa
Andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye
Kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the
Ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye
Ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
Ai dard-E-hijr hum bhii to pat_thar ke ho gaye
Samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-E-shahr
Phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye
Ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham
Ab ke gaye to kuu-E-sitamgar ke ho gaye
Rote ho ek jaziira-E-jaaN ko “Faraz” tum
Dekho to kitne shahr samandar ke ho gaye
Sab Log Liye Sang-E-Malaamat Nikal Aaye …
Sab log liye sang-E-malaamat nikal aaye
Kis shahr meN ham ahal-E-muhabbat nikal aaye
Ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
AaNsuu kii jagah aaNkh se hasarat nikal aaye
Har ghar kaa diyaa gul na karo tum K na jaane
Kis baam se Khurashiid-E-Qayaamat nikal aaye
Jo dar_paa-E-pindaar haiN un qatl_gahoN se
JaaN deke bhii samajho K salaamat nikal aaye
Ae ham_nafaso kuchh to kaho ahad-E-sitam kii
Ek harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye
Yaaro mujhe masaluub karo tum K mere baad
Shaayad K tumhaaraa qad-O-qaamat nikal aaye
0 Comments